Back to Collection

Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi

Written by Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan

Urdu

Sabse Aula Wo A’ala Hamara Nabi

Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi

Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi

Dono A’alam Ka Dulha Hamara Nabi

Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua

Noor-E-Awwal Ka Jalwah Hamara Nabi

Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley

Shama’a Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi

Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat

Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi

Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool,

Aur Rasoolon Se A’ala Hamara Nabi

Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam

Woh Maleehe Dilaara Hamara Nabi

Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho

Namakeen Husn Waala Hamara Nabi

Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel

Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi

Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi,

Inka Unka Tumhara Hamara Nabi

Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi

Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi

Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye

Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi

Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise,

Hain Us Achhe Se Achha Hamara Nabi

Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye

Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi

Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar

Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi

La Makaa Tak Ujaala Hai Jisko Wo Hain

Har Makaa Ka Ujala Hamara Nabi

Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise

Hai Uss Unche Se uncha Hamara Nabi

Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye

Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi

Gamzado Ko Raza Muzda-Di-Jiye Ke Hain

Be-Kasoon Ka Sahaara Hamara Nabi